This poem is dedicated to my dear Allah mian, these are just my tiny miny thoughts sharing with everybody around and ofcourse with My Lord...
Meri musafatoon ko shumar karna
Jab bhi meri zeest ka hisab karna
Maine mana kuch kotahi thi meri
Tu galtion k sehra ko apni rehmat se sairab karna
Jab kabi dunya ki piyas k kantay lah-0-lohan kardain
Tu apni shifa se meray ghar ki khizan ko gulaab karna
Mai hi kia,teri maslihatun par tu ek alam hairan hai
kabi palak jhapaktay qais ko faqeer karna aur kabi gadagar ko nawab karna
sheh rag mai rehne waley, tj se tamam hal kaha hai
meray safar ki kahani ko na zaban zad aam karna
Mai thak jaon,agar na chal sakon in raston par tu
faqat apne khayal ko meray dost ehbab karna
Meray malik jab bhi meri zeest ka hisab karna...


0 comments:
Post a Comment